Bhagwan ne rachna hi aisi ki hai bina alochako aur doston ke kaam nahi banega.
galtiyon se juda tu bhi nahi mai bhi nahi, khuda tu bhi nahi mai bhi nahi.
Koi to hai jo faisla karta hai pattharon ke mukaddaron ka, kise thokaro pe rahna hai kise bhagwan hona hai.
Uchhalkar vo nahi chalte jo fan me mahir hote hai, chhalak jate hai paimane jo ochhe bartano me hote hai.
Teri mohabbat ke pyase the isliye hath faila diye, varna hum to apni zindagi ke liye bhi dua nahi mangte.
Durjano ke sath na to maitri rakhe na prem, koyala yadi jalta hua hai to chhune par haath jala dena aur thanda hua to hath kaale kar dega.