Ahasaas ke andaz bhi badal jate hai varna aanchal bhi usi dhage se banta hai aur kafan bhi.
Seeraton pe kon itna dhyan deta hai, ye jamana surato pe jaan deta hai. Sirf daulat ki chamak pahchante hai log, insaan ko ab kon pahchan deta hai.
Mujhe maloom hai ye khwab jhuthe hai, ye khwahishe adhoori hai, magar zinda rahane ke liye kuchh galatfahmiyan jaroori hai.
Hum se bichhad ke un aankho se ek bund paani ki na nikali jinhe taumre par jheel kahate rahe.
galtiyon se juda tu bhi nahi mai bhi nahi, khuda tu bhi nahi mai bhi nahi.
Aankhe hi bana deti hai phusana kisi ka....aankhe hi bana deti afsana kisi ka.